Wah Wah Bhopal...




WAH WAH Bhopal...
Woh New Market ka sama, woh Brijwasi ki chaat,
Woh Top n Town ki ice cream, Wah usme thi kuch baat.
Woh Milan sweet ki mithai, woh ICH ka dosa,
Woh MP Nagar ki pav bhaji aur Brijwasi ka samosa.

Woh Madiwali Bus ka saffer, woh Piplani ki hawa,
Woh BHEL Park ki raunak aur Saket ka sama.
Woh January ki kadake ki sardi, woh baarishon ke
mahiney,

Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te they paseeney.
Woh holi ki masti, woh doston ki toli,
Woh diwali ke patakhe aur janmashtmi ki roli
Woh Lahrake Bike par Nikalna aur woh Cricket ka khel,

Woh ghar ki chat pe nahana aur Saket ke ladkon ka panchbati pe mail.
Woh Jahangirabad ka mahol, Woh Badi Jheel se ati thandi leheren
Woh Sunday ko Jheel ka nazara, Wah uske kya kehene.
Woh Old Bhopal ki galiyan , woh Geetanjali ki ladkiyan.

Itna sab keh diya par dil kehta hai aur bhi kuch kahoon
Wo shehar hain mera apna, jiska naam hai Bhopal!!!


This Lovely Poem is Shared by :- Dr. Ashish Vijay 


                                  > credits > 

1 comments:

Anubha said...

nice poem... well written

Post a Comment